|
Rarat par aaj noor hai,
kyunki chand per use gharoor hai,
hum kis per guroor kere?
hamara to chand hi humse door hai
|
khushi mili tu gham mujh se rooth he gaya,
Dua karo ke main phir se udas ho jaoon
|
Yun he har din hamien aisay chahien gay kia,
yun he sari umr ese he rahien gay kia,
pal pal dil mien darkan ban kar darkien gay kia,
hamien dewana kar k khud aese he raho gay kia
|
Yeh dua hai tumhari zindagi sawar jaye,
Har nazar mein bas pyaar nazar aaye,
Tumhe jiski talash hai mere dost,
khuda kare wo khud tumari talash mein aaye
|
Iiss duniyaa ki bheed main boohat say yaar milain gay
hum kia hum say bhi achay hazaar milain gay
inn achoo ki bheed main humay bhula na daina
hum kahaan app ko baar baar milain gay
|
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai
Aise hi mohabbat ki shuruwat hoti hai
Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum
Pata nahi kab din kab raat hoti hai
|
Ham rait pe naam kabhi likhtey nahin,
Rait pe likhey naam kabhi tikte nahin,
Log humain pathar dil samajhtey hain,
Par patthar pe likhey naam kabhi mit"tey nahi
|
Phir mujhay Deeda-e-tar yaad aaya
Dil jigar , tishna-e-faryaad aaya
dam liya tha na qeyamat nay hunooz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati
kyun tera rah guzar yaad aaya
Aah ! woh jurrat-e-Faryaad kahan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya
phir teray koocha ko jaata hai Kheyal
Dil Gum gushta magar Yaad aaya
Main nay Majnoon pe larakPan main ASAD
Sang uthaya tha ke sar yaad aaya
|
aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo
ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo
log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN
zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo
saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN
phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo
haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano
apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo
yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe
aas ke badlo sir pe mere aaya na karo
aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib
koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo
|
Apne hissey ki zindagi tu hum jee chukey
Ab tu bus dhadkanon ka lihaaz kartey hain
Kia kahain, yee duniaa waaloon koo joo
Aakahri saans per bhi aitraaz kartey hain
|
Back |
|
|